Monday, 5 August 2013

Har waqt kuch ajeeb raha

Har waqt kuch ajeeb raha,
Kabhi koi pas to, kabhi kanhi door raha,
Mil ke bhi milte na the wo
jinka na milna bhi ajeeb raha..
Khush toh ab bhi h
khushi to tab bhi thi
ek dussre k liye apnapan ye ajeeb raha..
Door se ab hans liya karte h
Jinki hansi k liye door tak jaya karte the
Ye anjanapan bhi ab ajeeb raha.
Duaao me jise mangte the
Wo ab khush rahe ye ab duaa rahi
Badale waqt k sath, ye duaa bhi ajeeb rahi..
Dekh ke tasvir ab muskurahat niklti h
kabhi wo tasvir hi muskurahat rahi..
Mil jayege fir kanhi, yunhi raho me
muskurate hue puch lege haal ek dussre ka.
najre churake dekhege sath kaun aaya h
milte h fir kabhi, kah ke chal dege musukarte hue 
Ye haal-a-byan bhi kuch ajeeb raha..


6 comments:

  1. its good.. was able to connect..

    ReplyDelete
  2. kahani me koi aur tha,
    Kahani sunaai kisi aur ne,
    Kahani kahte-kahte rula baithe (RRaj ko) wo!
    Ye haal e bayan bhi ajeeb raha.!!

    ReplyDelete
  3. Awesome!
    u hv got the talent to grasp the mind n penetrate inside heart by ur writing...
    keep it up!
    sachhi me, 'awesome' word bhi small hai taarif karne ko!

    ReplyDelete
  4. Thanks.. :)It s the most simplest way for me to say something, rest is just consequences.

    ReplyDelete